Riwaayat:
Yazeed mal'oon ke darbaar mein ek Yahoodi aalim haazir tha. (Imam Sajjad [as] ko dekh kar) usne puchha, "Ye kaun jawaan hai?"
Logo'n ne kaha, "Ye Ali ibne Husain (as) hai."
Usne kaha, "Husain (as) kis ke bete hain?"
Logo'n ne kaha, "Husain ibne Ali ibne Abi Talib".
Phir usne puchha, "Unki waalida kaun hai?"
Logo'n ne kaha, "Dukhtar e Muhammad (saww) hai".
Yahudi ne kaha, "Subhanallah, Husain (as) tumhare Paighambar (saww) ke farzand the aur is qadar jald tumne unko qatl kiya. Tum ne apne Paighambar (saww) ki zurriyat se bura sulook kiya aur unki kuchh hurmat na ki. Qasam Khuda ki, agar farzand e Musa (as) zinda hota to mera yaqeen is par hai ke hum log uski parastish karte. Tumhare Paighambar (saww) kal ke roz tumse juda huwe aur aaj tumne unke farzand ko qatl kar daala".
Ye sun kar Yazeed ne uske qatl ka hukm diya.
Yahudi uthha aur kaha, "Tum mujhe qatl karna chaahte ho lihaza suno, maine Tauraat mein padha hai ke jo apne Paighambar (as) ki zurriyat ko qatl kare, jab tak wo zinda hai mal'oon hai aur jab marega Khuda usay Jahannum mein daal dega".
(Jila ul Uyoon - Allamah Majlisi, v2, p294)
OUR HEARTFELT CONDOLENCES TO IMAM E ZAMANA (atfs) ON THE MARTYRDOM OF IMAM SAJJAD (as). MAY ALLAH CURSE THE KILLERS OF MASUMEEN (as).
No comments:
Post a Comment