YA IMAM E REZA (as)!!!
1. Imam Kazim (as)
ne Imam Ali Reza (as) ki taraf ishara kar ke farmaya, "Jo shakhs mere is bete ki Ziyarat karega uske liye Jannat hai".
(Kaamil uz Ziyaraat, p410)
2.Imam Sadiq (as):
…Jo koi bhi Imam Reza (as) ke maqaam (azmat) ko pehchaante huwe unki Ziyarat karega to Khuda usko Fateh Makkah ki raah mein maal kharch karne aur Jihad karne ke barabar Ajr dega.
(Amaali - Shaikh Sadooq, p120)
3. Imam Naqi (as):
...Jo shakhs bhi mere jadd Ali bin Musa ar Reza (as) ki Ziyarat kare aur raaste mein aasmaan (baarish) ka EK qatra bhi uske jism par pad jaaye to (Allah) uske jism ko aatish e Jahannum par haraam qaraar dega.
(Wasaail ush Shia, v10, p305)
4. Imam Reza (as):
Jo shakhs bhi meri Ziyarat karega aur usay baarish, sardi ya garmi ki kuchh takleef pahunchegi to Khuda uske jism ko Dozakh par haraam qaraar de dega.
(Wasaail ush Shia, v10, p306)
5. Imam Reza (as):
Mere Shiyo'n ko ye paighaam pahuncha do ke jo koi meri Ziyarat karega to Khuda ke nazdeek 1000 Hajj ke barabar hai.
Aap ke farzand Abu Jafar (as) ne kaha, "1000 Hajj ke barabar?"
Aap ne farmaya, "Haa'n. Khuda ki qasam, 100 hazaar (yaani Ek laakh) Hajj uske liye hai jo hamari maarefat e Haq ke saath Ziyarat kare".
(Amaali - Shaikh Sadooq, p120)
(Kitaab Kaamil uz Ziyaraat, p 410 mein Hazaar Hazaar (yaani Dus laakh) Hajj ka sawaab likha hai)
6. Imam Reza (as):
Jo aalam e ghurbat o musafirat mein meri qabr ki Ziyarat karega to main Qayamat ke 3 muqamaat par uske paas jaaunga aur usay wahaa'n ki haulnaakiyo'n se najaat dilaaunga:
1) Jab logo'n ke daayein baayein haath mein naama e aamaal diye jaa rahe honge,
2) Siraat par,
3) Mizaan par.
(Uyoon Akhbaar ar Reza, v2, p550)
7. Imam Taqi (as):
Jo shakhs Toos mein mere Waalid e Maajid (Imam Reza (as)) ki Ziyarat kare to Khuda uske agle pichhle gunaah maaf kar dega aur (ba roz e Qayamat) H. Rasule Khuda (saww) aur Ali Murtuza (as) ke Mimbaro'n ke bil muqabil uske liye Ek Mimbar banayega yahaa'n tak ke Khuda logo'n ke hisaab o kitaab se faarigh hoga.
(Wasaail ush Shia, v10, p303)
8. Imam Taqi (as):
Jo shakhs mere Waalid e Maajid (Imam Reza (as)) ki Ziyarat karega uske liye Jannat hai.
(Wasaail ush Shia, v10, p304)
9. Rasule Khuda (saww):
Mera ek paara jigar Khurasaan [Mashhad] mein dafn hoga. Jo dukh dard ka maara uski Ziyarat ko jayega, Allah Ta'ala uske dukh dard ko duur kar dega aur jo koi gunaahgaar uski Ziyarat karega, Allah Ta'ala uske gunaho'n ko baksh dega.
(Man La Yahzarul Faqih, v2, h3187)
No comments:
Post a Comment